Hair fall solutions/ab baal honge jharna bandh../100% working hair loss remedies...

Long aur healthy looking hair sabko pasand hai...agar aap log bhi chahte ho ki aapke hair long,healthy,shiny ho to aaj ka yeh article pura padhna...


Sabse pehle hum jaante hai ki humaare baal(hair) jharte kyon hai.Kyaa reason (kaaran) hai ki jis ki wajah se humare baalon ki growth nahi hoti aur jhar jaate hain...

Reasons(kaaran):

  1. Sabse pehla reason Heredity hai heredity matlab wansh parampara (aanuwanshikta).Agar aapke dada-dadi ya fir mummy-papa ko hair fall ki problem hai to yeh hair fall ki problem aap mein bhi aa sakti hai.
  2. Agar hum humare khaane pi ne kaa dhyaan naa rakhe tab bhi hume yeh hair fall ki problem ho sakti hai.
  3. Kabhi kabhi aisa hota hai ki hum thora sa kaam kar ke bhi thak jaate hai.Hum stress ya tension mein hote hai to uss waqt hume hair fall ki problem ho jaati hai.
  4. Hair fall ka main reason yeh bhi hai ki agar aap apne hair(baalon) ki acchhe se care naa karte ho..Aap apne hair ko time to time acchhe se wash naa karte ho ya hair oiling naa karte ho(baalon mein tel naa lagaate ho) is ki wajah se aap ke baalon mein dhool mitti(dust) rehti hai aur dandruff bhi ho jaata hai aur aap ko hair fall ki problem hoti hai.

Aaj mein aap ke saath 2 aasan aur asardaar (easy & effective) garelu nuskhe (home remedies) share karungi..

1]  Pehli home remedie banaa ne ke liye hume chahiye neem ke patte.Neem humari skin aur hair ke liye bohot hi faayd-e-mand hai.Neem ke patton ko hum davayi(medicine) ki tarah bhi use kar sakte hai.To hume sabse pehle neem ke patton ko ek patili mein le kar us mein paani daal kar ubaal le na hai(boil kar lena hai).Fir neem ke patte boil ho jaane ke baad neem ke patte paani mein se alag kar lene hai aur boil kiya hua paani hai use thanda hone de fir uske baad uss neem ke paani ko ek spray bottle mein bhar le.Aap iss paani ko fridge mein store bhi kar sakte hai ek week ke liye.Iss neem ke paani ko aap ki scalp mein spray kar lena hai aur fir hair mein acche se massage kar ni hai.Neem ka paani aap ko apne hair mein 30 minutes tak rakhna hai aur uss ke baad aap ko apne hair shampoo aur conditioner se acchhe se wash karne hai.Neem humare scalp ki aur hair ki saari problems ko door karta hai.Yeh remedie ko aap ko week mein ek baar apply kar ni hai.

2]  Doosri hair fall remedie ko bana ne ke liye hume sirf ek hi chiz ki jaroor hai woh hai aloe vera.Aloe vera humare hair ki growth badhane mein help karta hai aur humari scalp ka pH bhi balance karta hai.To  ek fresh aloe vera le kar uss ko aap ki scalp mein circular motion mein rub kar na hai(apne baalon mein aur scalp mein aloe vera ko acchhe se gisna hai).Aloe vera humare hair ko strong,smooth aur shiny banata hai.Kahi log fresh aloe vera ki jagah ready made aloe vera gel ka bhi use karte hai.Aloe vera gel ka bhi use kar sakte hai lekin mein personally aap logo ko suggest karti hoon ki aap log fresh natural aloe vera ka hi use kare.Iss waali remedie ko bhi aap ko week mein ek baar apply karna hai.


Comments

Post a Comment